Exams ka Funda

School Exams mai Achhe marks Kaise paaye.....

Hello Students,
Mera naam Saurabh Chaubey hai .Aaj mai aapko wo saari baate bata rha hu jo aapke  marks mai improvement laa sakti hai.Kya aapne kabhi socha ki aakhir kyo achhi tayari ke baad bhi hum expected marks nhi la paate, actually jarurat hai ek sahi strategy ki.Let's start aaiye jaane Kya hai  ye tarike...
Sabse pahle jis subject ki hum tayaari kar rhe hai unme unit wise ek strategy rkhe, jaise main topics ki list banye aur complete Kare, ye wo topics hone chahiye jo at least last ten years mai repeat ho chuke hai.Exam se one week tak sirf revision kare ,koi bhi naya question na sikhe kyoki hum jaise hebexam ka time pass aane lagta  hai hum wo sab bhi learn krte hai jo humne pehle kabhi nhi padha is tarah sirf hamara time waste hoga.




Ab jo mai aapko samjhane ja rha hu ye bahot important hai, so plz be careful..


Jab hum exam hall mai aate hai, apne mind ko koshish kare silent rkhe yaani kutch na soche. Ab jaise he aapko question paper mil jaaye to kabhi bhi questions ko na padhe matlab ki pura paper na dekhe , Actually hota kya hai ki jab hum fatafat questions ko dekhte hai to hamare saamne do baate aati hai ya to paper hume easy lagta hai ya tough is situation mai jo hume yaad rhta hai use bhi hum bhulne lagte hai. Saare questions ke answers humra dimaag khojne lagta hai. For example first question hum solve kar rhe hai aur fourth question ke baare mai soch rhe hai kyoki wo hume sahi se yaad nhi aa rha. Is tarah se mostly students first bhi sahi attempt nhi kar paate. Matlab yaha ye nikalta hai ki jo question hum solve kar rhe hai completely usi pe focus kare.


Kabhi bhi paper solve kare to last se start kare aap question number to mention karege he.Kya hota hai ki starting ke 10 questions 1 marks ya 2 marks ke hoge ,jo students weak hote hai wo apna 1 hr approx inhi mai laga dete hai aur last ke questions time khtam hone ke kaaran chhod dete hai jo ki jyada marks ke hoge.Last se start karne par hum bade questions pehle karte hai aur mind bhi ekdam fresh rhta hai sari cheeje yaad bhi aate hai ,agar time khatm hote hote 4 questions reh bhi jate hai to wo jyada marks ke nhi honge.
Friends agar aap apne aane wale school exams mai in baato ka dhyaan denge to I am sure apke marks mai comparatively change aayega.

All The Best 👍

3 comments: